A poem!
Mai kya bataoon yeh Sai kya hai Baba Sai kya hai, yeh mai kya bolu, Jiske naam se yeh dard bhi bhulu Mai kya bataoon yeh Sai kya kya hai
Jiska naam hi itna pyara hai To Woh kitna pyara hoga yeh sochoon, Mai kya bataoon yeh Sai kya hai Jiske naam se daar chala jaaye
Uske Naam se Mann ki Gali yo mein khushi Samajae Mai kya bataoon yeh Sai kya hai, Jiske naam se kya nahi hota Uske naam se sab kuch hota
Mai kya bataoon yeh Sai kya hai Kaise bataoon tu mere liye kya hai, Bas itna janu ki tu sirf mera hai Mai kya bataoon yeh Sai kya hai
Kaise bata doon sab ko ki mere sans bhi tu hai Kaise sunao ki meri awaz bhi tu hai, Mai kya bataoon yeh Sai kya hai Kaise kahoon ki main duub jata hoon teri yadon mein
Paar itna Janta hoon ki tu duubta hai bhakton ke dil me, Mai kya bataoon yeh Sai kya hai Kaise chaloon Sai tere bina
Bas ab nahi jina tera bina Mai kya bataoon yeh Sai kya hai, Kaise Batlaau tera pyar in shaabdhon mein Jaab tuhi chiipaa hai in shabdon mein
Mai kya bataoon yeh Sai kya hai Baba tum kahan nahi hoo, Jahan jau wahan wahan tum ho Mai kya bataoon yeh Sai kya hai
Baba Sai kaise pyar karu main tumko Jaab khud hi nahi reheta dekhake tuzhko, Mai kya bataoon yeh Sai kya hai Baba kya hai mere jo mai tujko doo
Mai khud bhi nahi mera to mai tujko kya doo Mai kya bataoon yeh Sai kya hai, Kaise bolu sab ko ki aya tha Sai ko lene Kaise bolu sab ko ki tuhi aya tujko lene
Mai kya bataoon yeh Sai kya hai Abb khud bhi bhula mai ki tujhe kab chaha, Bas ek sacch itna pehechana Ki tunhe hi tujhko chaha Mai kya bataoon yeh Sai kya hai
Kaise bolu Baba tu kaun hai Bass itna janu ki to meri maai hai, Mai kya bataoon yeh Sai kya hai Kaise batau ki tere naam mein kya hai
Itna janu sirf ki tu mera SAI hai Mai kya bataoon yeh Sai kya hai, Kaise chahoon sabko Sai, kaise baantu pyar mein Sai Bass wah chahat bhi tu Sai, Wah pyar bhi tu Sai
Mai kya bataoon yeh Sai kya hai Socha tha Sai chupa hai mere andar, Par jana liya tujhko mujse badkar Mai kya bataoon yeh Sai kya hai, Kaise pehchan loo main tujko Sai Jaab khud bhi na rahoon pehchanne ko Sai
Mai kya bataoon yeh Sai kya hai Mujhe laga ki baba ko yaad ham kare, Par batlaya usne ki wahi ham yaad kare Mai kya bataoon yeh Sai kya hai, Bas Sai ab mujko rakh ab tere pass Bas abhi yehi hai meri choti aas
Mai kya bataoon yeh Sai kya hai Abhi nahi dekh sakta tujko, Mai khudh hi bhula mujko Mai kya bataoon yeh Sai kya hai
Lagta tha ki mai karta hoon tera intajar Par ab samja ki tu hi karta hai tera intajar, Mai kya bataoon yeh Sai kya hai Aya tha churane Sai ke pyar ko, Khud hi chura liya tune mere ko
Mai kya bataoon yeh Sai kya hai lagta tha is jisam mai rehta hoon aur yeh mera hai, Par jaan liye Sai ki yeh tera hai Mai kya bataoon yeh Sai kya hai
Aaj khud Sai Sai ka hogaya Bas Sai ka Sai se dil milgya, Mai kya bataoon yeh Sai kya hai Age Allah malik - Hari om sai
=Contributed by Rahul Kelkar