SAI KI PALKI EIK BHAJAN
Shayer 1 Har saNs kare simran teraa, jab saNsoN ko joRu main
HoTHoN pe ho Sai naam tera, jab duniyaN ko CHoRu main
Shayer 2 Deed tere ki na kabhi, payaas meri bhuje
Itna pee jaaooN Sai ,na hosh rahe mujhe
Shayer 3 Shirdi se anhad naad ki, nadiya hai beh rahi
Sai naam amrit piyo, sabhko hai keh rahi
BHAJAN
Suno suno re bhagto, Sai ki aaee palki
Chalo chalo re bhagto, Baba ki aaee palki
Sai ki aaee palki, Baba ki aaee palki
Sai sharan meiN jaaieNge
Ham sabh jashan manaaieNge
nacheiNge ham gaaieNge suno suno,chalo chalo, chalo chalo, suno suno
Sai ki aaee palki, Baba ki aaee palki
Suno suno re bhagto, Sai ki aaee palki
Chalo chalo re bhagto, Baba ki aaee palki
Poorav se aaoo, pashchim se aaoo
Uttar se aaoo, dakshin se aaoo
Sabhi or se ,dauRe aaoo suno suno, chalo chalo, chalo chalo suno suno
Sai ki aaee palki, Baba ki aaee palki
Suno suno re bhagto, Sai ki aaee palki
Chalo chalo re bhagto, Baba ki aaee palki
Nanak Budha Ram hai Sai
Ishu Allah Shayam hai Sai
Shirdi ka bhagwan hai Sai suno suno, chalo chalo, chalo chalo suno suno
Sai ki aaee palki, Baba ki aaee palki
Suno suno re bhagto, Sai ki aaee palki
Chalo chalo re bhagto, Baba ki aaee palki
Sai hamaare sabh dukh harta
Man ki muraareiN poori karta
Isiliye to ‘ASHK’ hai kehta suno suno ,chalo chalo, chalo chalo suno suno
Sai ki aaee palki, Baba ki aaee palki
Suno suno re bhagto, Sai ki aaee palki
Chalo chalo re bhagto, Baba ki aaee palki
Under the lotus feet of my Sai
~~Hardev Sodhi ‘ASHK’